Fertility Dost

Top 20 Real Questions Indians Ask About Pregnancy on Google (In Hindi + English)

All About Fertility
Top 20 Real Questions Indians Ask About Pregnancy on Google (In Hindi + English)

Top 20 Questions for Getting Pregnant

Pregnancy plan karna koi simple task nahi hai. India mein is journey mein modern science ke saath-saath Ayurveda, emotion aur bahut saare doubts bhi hote hain. Jab aap conceive karne ki koshish kar rahe hote ho, tab har choti si baat important lagti hai.

Toh humne collect kiye hain Top 20 Hinlish style questions – yaani waise jaise real couples Google, Quora aur Reddit pe poochte hain. Easy Hindi + English mein, jaise aap apni friend se baat karte ho. Let’s go 👇

1. Pregnant hone ka best time kya hota hai?

Jab aapka fertile window chalu hota hai usually period ke baad 12–16 din ke andar. Us waqt sex karna increases chances to get pregnant. Another tip is to have sex during early morning hours. That time body aur mind dono fresh rehta hai.

2. Ovulation kab hota hai, kaise pata karein?

Ovulation kits, period tracking apps ya cervical mucus check se pata chalta hai ovulation ka.

3. Period regular hai, to fir test negative kyun aata hai?

Thyroid, PCOS, stress ya egg reserve kam (AMH issues) hone ke wajah se ho sakta hai. Periods toh sirf ek parameter hai bahut saari aur bhi factors hai ko aapko conceive karney se rok sakti hai.

Asking “How Do I Get Pregnant?” Start with This One Step – Join our 60-day Garbha Sankalp roadmap.

GSP CTA Banner

Join Garbha Sankalp Workshop Now

4. Pregnant nahi ho pa rahi hoon, kaunse test karwau?

AMH, TSH, HSG, semen analysis ye sab basic fertility tests hai. Advanced tests like HSG aur laproscopy karwaya jata hai agar miscarriage history hai ya bahut time se try kar rahey hai par conceive nahi ho raha.

5. 30 ke baad kya naturally pregnant ho sakte hain? 

30 age mei fertility kam hota hai par 35 years ke baad bahut jyada drop hota hai toh agar aap 30 years se 35 years ke beech mei ho toh thoda lifestyle change aur fertility foods ko diet mei include kar ke aur period and sperm count issues ko manage karke conceive kar saktey ho.

Agar aap 30+ ke ho toh jyada shan dena padega aur jaldi conceive karney ki koshish karni padegi otherwise 35 years ke baad mostly IVF karaney ki jarorat pad jati hai.

6. Kya PCOS ka matlab hai ki maa banna mushkil hai?

PCOS ki main problem hoti hai ki periods regular nahi hotey aur periods regular nahi hoga toh ovulation kab ho raha hai pata nahi chalta ya phor ovulation 2-3 mahiney baad hota hai. Iss chakkar mei PCOS ke saath conceive karna muskil ho jata hai. Agar aap PCOS ko control kar letey hai toh conception bhi hojata hai

Lifestyle change, diet aur thoda patience se conceive possible hai. PCOS ke liye weight ko control karein aur hormones ko balance karney pe dhyan de. Seed cycling works good to control and regularize periods.

7. Thyroid hai, to pregnancy ke liye kya dhyan dena chahiye?

Aajkal thyroid bahut common problem hai aur easily theek bhi ho jata hai if you take care of diet, exercise and other lifestyle. Ayurveda mei thyroid manage karke conceive karne ka bahut accha result hai. TSH level ko 2.5 se neeche rakhna zaroori hai. Regular check karte raho aur diet pe dhayan do..

8. Fertility badhane ke liye kya khana chahiye?

Anar, broccoli, khajoor, ghee, and pumpkin seeds. Hamara workshop join karein ussmey we tell about fertility superfoods aur period cycle ke hisab se and aapkey doshas ke hisab se kaun si kitchen items add kareny se help hota hai, ye sab hum batate hain.

Apna uterus ko majboot karna hai, periods ko regular aur sperm count ko normal. And ye sab possible hai.

9. Ayurvedic ya desi nuskhe se pregnancy ho sakti hai kya?

Haan, agar expert ke guidance mein liya jaye toh. Har body aur uski condition jo pregnancy aaaaahoney se rok rahi hai different hota hai toh islye jaroori hai ki aap ayurvedic doctor ki consultation aur guidance mei hi 2-3 months follow karein phir delhey itna accha result aayega. Fertility Dost mei hum ayurvedic supplements ke saath diet guidelines bhi detey hai jo aap ko conceive karney ke liye poora prepare karta hai.

10. Baby plan karte time sex kitni baar karna sahi hai?

Ovulation time mei har alternate day sex karney se conception ke chances badh jata hai. Every 2–3 din ek baar is best. Zyada pressure lene ki zarurat nahi. Bahut cases mei ovulation date nahi tha phir bhi conceive ho jata hai. So, it totally depends on how well your body is ready for conception.

11. Kya stress conceive karne mein problem karta hai?

Bilkul. Stress hormones aapka ovulation disturb kar sakte hain. Males mei stress ki wajah se sperm count low ho jata hai. Both things affect your conception chances.

12. Yoga aur meditation se fertility mein help milti hai kya?

Yes! Body ko calm karne aur hormones ko balance mein rakhne mein madad milti hai. Fertility yoga se pelvic area strong hota hai aur uterus ki taraf blood flow jata hai. This strengthens the uterus. Meditation se hum sacral chakra ya pelvic chakra pe focus kartey hai and this helps prepare better to conceive.

13. Pati ki fertility kaise test karte hain?

Male fertility check karney ka ek simple test hota hai. Semen analysis Test, issmey sperm count, motility aur shape sab dekha jata hai. Agar sperm test mei thoda issue hota hai toh doctor 1-2 mahiney ke medicines batatey hai jissey usually sperm issues theek ho jatey hai. Agar major sperm related issue hai like azoospermia jispe bilkul ka mya zero sperm hai tab aur detail mei test hotey hai lekin uska bhi solution hai.

14. Office aur ghar ka stress kaise handle karein??

Stress normal aur common hai. Aisa koi insaan nahi jo stress free ko. Aur sabse acchi baat ye hai ki hum stress ko normal range mei rakh saktey hai jis se ki stress does not interfere with conception. Sleep, balanced diet, gratitude journaling aur thoda sa ‘me-time’. Yeh sab zaroori hai.

15. Lube use karna safe hai kya baby plan karte smay?

Sirf fertility-friendly lubes use karo. Regular lubes sperm ko harm karte hain.

16. Meri body kamzor hai, kya supplements se madad milegi?

Folic acid, Vitamin D, iron ye kuch supplements hai but apne doctor se consult zaroor karo. Body weakness ko regular exercise, diet aur ayurveda supplements se bhi theek kiya ja sakta hai. Bahut baar humney delha hai ki jab conception nahi hota, toh stress hota hai aur depression sa ho jata hai jiski wajah se ek overall body weakness mahsoos hota hai. So dhayan dijijey kahi aapki body weakness mind se judi toh nahi.

17. Ovulation ke kya signs hote hain?

Stretchy discharge, light pelvic pain, aur body temperature thoda badhna ye main signs hotey hai ovulation ke. Market mei ovulation testing strips bhi miltey hai. Best jai ki aap apni periods date se ovulation calculate kar le agar periods usually regular hai.

18. Ghee, khajoor, anjeer – kya yeh fertility ke liye sahi hai?

Bilkul! Ayurveda ke hisaab se yeh body ko nourish karte hain.

19. Kya orgasm zaroori hota hai conceive karne ke liye?

Zaroori nahi hai. Lekin kuch log kehte hain ki yeh help kar sakta hai for deeper penetration.

20. Kab doctor ke paas jaana chahiye agar conceive nahi ho raha?

Agar aap under 35 ho aur 1 saal se try kar rahe ho, ya 35+ ho aur 6 mahine se tab doctor se consult karo. You can connect with us and we can guide further.

0
0
0
Your Comment Is Valuable For Us
Thanks For Your Feedback.

The Natural Pregnancy Preparation Program You Need

Fertility treatment designed for modern couples

Read What our Viewer’s Said

No comments found.